Balam Pichkari / Yeh Jawaani Hai Deewani (2013) Balam pichkari jo tune mujhe maari Toh bole re zamana kharabi ho gayi Mere ang raja, jo tera rang laga Toh seedhi-saadi chhori sharabi ho gayi Itna maza, kyun aa raha hai Tune hawa mein bhaang milaya Itna maza, kyun aa raha hai Tune hawa mein bhaang milaya Dugna nasha, kyun ho raha hai Aankhon se meetha tune khilaya Ho teri malmal ki kurti gulabi ho gayi Manchali chaal kaisa nawaabi ho gayi, toh..... Balam pichkari jo tune mujhe maari Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi Haa Jeans , pahen ke jo tune maara thumka Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi (x2) Teri kalaayi hai, haathon mein aayi hai Maine maroda toh, lagti malaai hai Mehenga padega ye,chaska malaai ka Upvaas karne mein teri bhalaai hai Ho bindiya teri mehetaabi ho gayi Dil ke armaanon mein behisaabi ho gayi ,toh Balam pichkari jo tune mujhe maari Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi Haa Jeans , pahen ke jo tune maara thumka Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi (x2) Kyun 'no-vacancy' ki, hothon pe gaali hai Jabki tere dil ka kamra toh khaali hai (kamra toh khaali hai...) Mujhko pata hai re Kya chahata hai tu Boli bhajan teri Neeyat Qawwali hai Zulmi ye haazir-jawaabi ho gayi Tu toh har taale ki aaj chaabi ho gayi, toh Balam pichkari jo tune mujhe maari Toh seedhi saadi chhori sharaabi ho gayi Haa Jeans , pahen ke jo tune maara thumka Toh lattoo padosan ki bhabhi ho gayi (x2) Haan, bole re zamana kharabi ho gayi Haan, bole re zamana kharabi ho gayi...